You are on page 1of 1

1. 2.

dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ? aaKHir is dard kee dawa kya hai ham haiN mushtaaq aur woh bezaar ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ? [ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]

3. 4. 5.

maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ? jab ki tujh bin naheeN koee maujood fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai ye paree chehara log kaise haiN ? GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ? [ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance, ishwa = coquetry ]

6.

shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ? nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ? [ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]

7.

sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ? abr kya cheez hai, hawa kya hai ? [ abr = clouds ]

8. 9.

hamko unse wafa ki hai ummeed jo naheeN jaante wafa kya hai "haaN bhala kar tera bhala hoga" aur darvesh kee sada kya hai ? [ darvesh = beggar, sada = voice ]

10. 11.

jaan tum par nisaar karta hooN maiN naheeN jaanata duaa kya hai maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib' muft haath aaye to bura kya hai ?

You might also like