You are on page 1of 1

Kash hoti koi bhulne ki dwa

jo mujhe mera ateet bhula de



bhula de wo khusnuma ehsas
jinki kmi mujhe aaj tarsati hai

bhula de wo dard bhri dastaan
jo mujhe aaj bhi yaad aati hai

yaad nhi rakhna chata kuch
bus zeena chata hu

aawar ban fir ghumna chatu hu
bina soche sach ko peena chata hu

yaadein to bus bhoj bdati hai
bematlab jindgi ka mja ghtati hai

koshis karta hoon ki inhe nikal sku
par bewakt bematlab fir samne aajati hai

rooh vese to nhi marti
par yaadein use bhi jla jati hai

mujhe to abhi tak nhi milli
par kash hoti koi bhulne ki dwa

You might also like