You are on page 1of 2

Kishore Kumar- Rona Kabhi Nahi Rona, Chahe Tut Jaye Koi Khilona

rona kabhi nahi rona, chahe tut jayey


koyi khilona, khilona
sona chupke se sona chahe tut jayey
sapna salona, salona
dukh sukh ki kya bat hai, kya din hai kya rat hai
aansu bhi muskan bane, yeh toh apne hath hai
aashao ki dori me sada, tum mann ke phul pirona
rona kabhi nahi rona, chahe tut jayey
koyi khilona, khilona
dekho bachcho bagh me, sab kaliya nahi khilati
dooniya me insan ko, sab chizein nahi milati
jo apna nahi, tum usake liye, jo apna hai nahi khona
rona kabhi nahi rona, chahe tut jayey
koyi khilona, khilona
rang se aur na dham se, jhat se aur na nam se
ijjat milati hai yaha, dekho achche kam se
koyi kam bura tum mat karna
badnam kabhi nahi hona
rona kabhi nahi rona, chahe tut jayey
koyi khilona, khilona
sona chupke se sona, chahe tut jayey
sapna salona, salona
rona chachha nahi rona chahe tut jayey
koyi khilona, khilona

From Kasam se

You might also like