You are on page 1of 1

aah ko chahiye ik umr asar hote tak

kaun jiita hai tiri zulf ke sar hote tak

dam-e-har-mauj me� hai halqa-e-sad-kam-e-naha�g

dekhe� kya guzre hai qatre pe guhar hote tak

ashiqi sabr-talab aur tamanna betab

dil ka kya ra�g karu� ?hun-e-jigar hote tak

ham ne maana ki taghaful na karoge lekin

?haak ho ja.e�ge ham tum ko ?habar hote tak

partav-e-?hur se hai shabnam ko fana ki ta.alim

mai� bhi huu� ek inayat ki nazar hote tak

yak nazar besh nahi� fursat-e-hasti ghafil

garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak

gham-e-hasti ka 'asad' kis se ho juz marg ilaaj

sham.a har ra�g me� jalti hai sahar hote tak

You might also like