You are on page 1of 24

BHOOKH HINDI MOVIE

By Shiva urf Jagadish

Scene 1

Shah rukh khan: khana mil sakta Hain , bhookh lagi Hain

Salman khan : kyon , kaam nahi mila kya aaj

Shah rukh khan : har samay kaam Ki talash mein nikalta hoon , log biography puchte Hain

Salman khan : kya hain teri biography

Shah rukh khan : 10 th class failed , never attempted

Salman khan : usa jana tha

Shah rukh khan: waha par gaya tha , logo ne galiyan di Ki ham intelligent logo ko lete Hain , bhikari ko
nahi

Salman khan: bina kaam kiye , hum to kabhi bhi khana nahi dete Hain , chandrababu fans

Shah rukh khan : oh !!!! Padayi agar theek se ki hoti to naukri mil jati thi

Salman khan : beshak , maa bapuji ne data nahi kya

Shah rukh khan : kaha tha agar fail hua to naukri nahi milegi , bhookha pet sona padega

Salman khan : to

Shah rukh khan : nahi mana , pet bhar kar khana khaya , ab maa bapuji nahi hain , bhookh lag rahi hain

Salman khan : kitna khana mil jata hain , har roj

Shahrukh khana : yahi temples mein prasad se gujara ho jata hain , par aaj usse bhi jyada bhookh lag rahi
hain

Salman khan : oh !!!! Sorry

Shahrukh khan : kuch dus rupay mil jate to

Salman khan : har ek bhikari ko dus rupay dene ki maine agar ghoshna ki to line lag jayegi

Shahrukh khan : main kisi se bhi nahi kahoonga


Salman khan : bhai , barkhurdar , log bolte nahi hain , kaam kar ke paisa kamate hain , papa mummy par
nirbhar hona agar bacho ne seekh liya to shaadi to hogi par ghar grahasti chalane ke liye himmat hogi
bhi nahi

Shahrukh khan : tajurba nahi hain

Salman khan : bhai barkhurdar , phokat mein maa baapuji ka paisa khaya hain , hogi bhi nahi tajurba,
apne bal bute par, khuddari hoti to aaj hamare se mulakat kabhi hoti bhi nahi , seedhe videsh mein
arabpati ki ghoshna karte

Shahrukh khan : sorry !!!!

Salman khan : ghar mein anaj bhi hain , ya ghar hi nahi hain , tumhara kya

Shahrukh khan : tha , par property tax dena tha , de nahi saka , to bechna pada

Salman khan : paise to mile honge

Shahrukh khan : haa mile the , dus lakh

Salman khan : kya kiya usse, business

Shahrukh khan : humme utni khopdi nahi hain , humne kaha tha dusvi fail

Salman khan : angreji nahi aati , padna likhna

Shahrukh khan : bhookh ki tadap mein sab gava chuka

Salman khan : haan , malum hain , padayi wohi kar sakta hain , jiska pet pura ho

Shah rukh khan : kuch anaaj mil sakta hain

Salman khan : ghar to tera kuch nahi hain , anaaj lekar kya karoge , dene ke liye to main raaji , par
pakayega kaise

Shahrukh khan : you have a point , kaise

Salman khan : bhookhmari dekhkar , dimag chalna bhi ruk gaya tera

Shahrukh khan : agle pal kya hoga mujhe nahi malum , bhookh aisi lag rahi hain ki unnecessary padayi
chod di ka natija bhugat raha hoon

Salman khan : jo positive log hote hain , wo kabhi bhi doosro par nirbhar nahi hota , kuch na kuch karne
ki jigyasa rakhte hain , yeh duniya hain , koi iska mohtaaz nahi , doosre nahi dekhte na unko tumhari koi
fikar , bachna chahte ho to jab se janam liya hain , aur jab tak marne ki naubat ayegi kaam karte raho

Shahrukh khan : is duniya mein arab pati log hi footpath pe aa gaye sir , haa haa haaa
Salman khan : duniya pe mat has , apne ko dekh tu bhi usi mein shamil hain

Shahrukh khan : mein to pehle se hi bikau, wo to pade likhe the

Salman khan : duniya mein kab kaun amir aur garib ban jate hain kisi ko bhi nahi pata

Shahrukh khan : sir , cooked rice

Salman khan : biwi meri se puch lena , agar diya to tu naseeb wala

Shahrukh khan : thankyou , darwaja kis taraf

Salman khan : main nikalta hun , kaam , alvida

Shahrukh khan : alvida, khana mil gaya , god bless my soul

Scene 2

Tabu : kaun hain aap

Shahrukh khan : bhikari

Tabu : to meri darwaza hi khatkhatana tha

Shahrukh khan : aapke pati dev ne bheja tha

Tabu : kaun pati

Shahrukh khan : wo jo motorcycle pe ja rahe hain

Tabu : oh !!! To

Shahrukh khan : thoda khana mil jata to , thoda anaaj

Tabu : mein bhikhri ko anaaj nahi deti

Shahrukh khan : madam ji , aap samjhi nahi , maine apke pati se baat kar li hain

Tabu : mere se baat ki

Shahrukh khan : nahi madamji

Tabu : to anaaj aapko kaise mila

Shahrukh khan : oh!!! Bhookh lagi hain joro se

Tabu : kaam kyon nahi karte


Shahrukh khan : madamji , dusvi fail

Tabu : to pass hone ke liye phir se padayi kyon nahi ki , maa bapuji anpad the

Shahrukh khan : nahi, padayi bor lagi to gili danda khel diya , ab bhikari

Tabu : yaha par khel kood se bhi paisa izzat ki roti mil jati hain , bharat desh mein

Shahrukh khan : itna bhi nahi , average

Tabu : average , phir to tu gaya tel bechne , yaha par is desh mein , mary kom type of lady ko bhi security
ki naukri mili to chod diya aur rajneeti ke sapne dekhna shuru kar diya , log vichitra hain , aye hue
naukriyon ko bhi chod dete hain , kaha se paida karenge politicians paisa itne jano ko

Shahrukh khan : madam yeh bhashan mere ko samajh mein nahi aati

Tabu : haan tum logo ko kyon ayegi , muft mein anaaj lena ata hain , par maa bapuji ke bataye huye
raste pe chalna nahi aata

Shahrukh khan : nahi aata madam ji , anpad gavar

Tabu : aapke family

Shahrukh khan : nahi main

Tabu : relatives any

Shahrukh khan : door ke rishtedar bahut sare , par madamji , pooor people don’t have friends nor
relatives

Tabu : sahi hain , humare bhai saab yani , brother aap hi ki tarah hain

Shahrukh khan : mein samjha nahi

Tabu : kaise samjhoge , batati hun , phir milega anaaj , sunoge

Shahrukh khan : anaaj milega to jaroor sunuga

Tabu : to baith , achi khasi naukri pure pandrah hazar har mahine , beti kaam karne ke liye gayi aur ek
din bol baithe ki mein malamaal, beti ka paisa dekhkar , unhone samajh liya ki unko ab kaam nahi karna
kyonki paisa mil jayega , beti ki taraf se , so chalis umr mein hi job chod di

Shahrukh khan : tab kya hua

Tabu : hona kya tha , jaise hi unhone job choda , beti taraki ki , kuch mahine aur saal paise mile par
savings kar hi nahi sake , ek din naukri gayi, tab barkhurdar ko samajh mein ayi , ki is duniya mein job
milna bahut swabhavik hain , par barkarar rakh sake to bhookh ko mitaya ja sakta hain
Shahrukh khan : aage

Tabu : ab naukri jate hi , kangi , yeh mat khareedo , ye mat khareedo , paise bachao , dimag phir gaya ,
agar maine job continue karta to bachat family ki har taraf se hoti , ab main bhi jobless, beti bhi jobless ,
aur agar mein job karta to beti ko achi naukri milna swabhavik ho sakta tha , meri nadani ki wajah se
naukri kho chuki aur anaap shanaap naukri khoj rahi hain , balika umr mein

Shahrukh khan : aise bhi log hain , is duniya mein , mujhe naukri milti nahi , aur jinko milti hain wo kho
bhi dete hain ,

Tabu : opportunities are available to many but it knocks the door only once , if you are intelligent catch
it before you lose the opportunity , samjhe

Shahrukh khan : samajh gaya, par mera is duniya pe koi kaam nahi , anaaj ke liye ruka hun madamji ,
milegi

Tabu : beshak , andar jaakar lekar aati hun , yahi par theharna , kahi jaan nahi

Shahrukh khan : ji madamji , mil gayi anaaj, god tussi great ho

Scene 3

Amir khan : eh !!! Darwaja ke paas kya kar rahe ho

Shahrukh khan : sir ji madam anaaj lekar ane wali hain

Amir khan : yaha par koi madam vadam nahi hain , chalte ban subah subah aa jate hain thaili lekar

Shahrukh khan : sir ji samjhe nahi , anaaj lekar main chal doonga

Amir khan : anaaj , phokat mein

Shahrukh khan : sir , sorry

Amir khan : main , mba pass aaj tak dhar dhar bhatak raha hoon , aur tum log jo dusvi bhi pass nahi hote
aa jate jaise ki hum sab karna ke bhakt hain

Shahrukh khan : mba phir bhi naukri nahi

Amir khan : nahi ,tumhe matlab


Shahurukh khan : nahi , matlab , itne pade likhe phir bhi bhookh mari kaise

Amri khan : ajeeb aadmi hain , meri biography chahiye

Shahrukh khan : haan sir , jab tak madam ji anaaj lekar nahi ati , suna dijiye , kehte hain sharing relieves
tension

Amir khan : beshak , abhi aur adha ghanta bacha hain , suna hi do to mere ko bhi tasali mil hi jayegi

Shahrukh khan : sunayi ye

amir khan : to sun , dusvi kaksha , barvi kaksha , graduation , first class including mba, jab job doondne
gaya to ek ke baad ek , ki report jo job lene ke liye aye to main haka baka , ek gold medalist , ek silver
medalist , ek har waqt topper , ek shiksha mein itna praveen ki medals hi medals , ek doosra scholarship
proficient , tum hairan reh jaoge ki kisi ko bhi naukri nahi mili

Shahrukh khan : who kaise

Amir khan : duniya certificate se nahi chalti , akalmand ko ishara kafi hota hain kaam ka tajurba hona
chahiye , yeh sab log kam paise nahi lete aur hak se puchte hain ki jab hum education mein topper hain ,
to kum paise se zindagi kyon bitaye , ladki paise wali milegi bhi nahi, isliye unki intelligence yeh kehti
hain ki hak se paisa mango aur aval number ki number 1 queen se shaadi karo

Shahrukh khan : to bewkoof kaise

Amir khan : yeh isliye meharbaan , yaha par sab muke baazi hoti hain , education mein naukri mil gayi
par yaha par kaam aath hazar se shurvat karo to ladki milne ke chances hain , jo pehli hi sidi ek lakh se
karta hain , wo fisal jata hain

Shahrukh khan : kaise

Amir khan : yaha par companies hain hi nahi first of all , aur jo bhi hain wo apne dushman ke company
ke employees ko dekhte bhi nahi hain aajkal

Shahrukh khan : par knowledge of competitor

Amir khan : tu pada likha hona chahiye ,jhat se ache questions puch leta hain

Shahrukh khan : thankyou

Amir khan : sab competitor ke employees hi wo lete hain , kitna le sakte hain

Shahrukh khan : oh !!!!


Amir khan : isliye barkhurdar , education is not be all , job ki seedi pakadna bhi ana chahiye seedhi taraf ,
ghotala apni jindagi huyi to beech raaste mein salary cut , wife cut , family cut , aur bhookhmari ke
shikar, zindagi paanch saal , dus saal ki hain hi nahi, pure pachas saal ki zindagi hain after completing
MBA samjhe

Shahrukh khan : haa sirji , koi mahila aa rahi hain

Amir khan : main chalta hun , kaam doondne

Shahrukh khan : atlast khana mila

Scene 4

Parineeti chopra : maa ne kaha , anaaj nahi hain aur chawal thodi hi hain , kal aana

Shahrukh khan : kuch bhi chalega , madamji , agar anaaj nahi to banaya hua chawal

Parineeti chopra : maine kaha na , chawal bhi kum hain , de nahi sakti

Shahrukh khan : aap sab log to pade likhe log hain , main anpad , kaam bhi nahi kar sakta aur anaaj
manga to dene se inkaar

Parineeti chopra : ulta chor kotwal ko daante , bhikari banna bahut sharmindgi ki baat hain

Shahrukh khan : aap ko kya malum meri story

Parineeti chopra : tum logo ki bhi story hoti hain

Shahrukh khan : beshak , maa bapuji ache the , hum hi nalayak

Parineeti chopra : to bol apni story , mein bhi to sunu , bhikari ki story , nice time pass

Shahrukh khan : aapko meri zindagi time pass jaisi lagti hain

Parineeti chopra : beshak

Shahrukh khan : mere papa apne zamane mein sarkari naukri karte the

Parineeti chopra : almost rich class

Shahrukh khan : aap tokiye hi mat


parineeti chopra : sorry nahi to kugu

Shahrukh khan : thank you

Parineeti chopra : aage

Shahrukh khan : pehle dino mein hamare ghar mein kuch bhi nahi tha , aakhirkar humare bapuji ko kya
sujhi , tv lekar aaye wo bhi black and white , main khushi se paagal ho gaya dekhkar , itna dekha , itna
dekha ki meri zindagi tv ho gayi, pariksha nikat ayi to mein tv dekh raha hoon , dusvi fail par tv se muh
moda hi nahi , dekhte hi ja raha hoon , bapuji guzar gaye ,khana chahiye tha , maa baukhla gayi , anaaj
ke liye kharidne ke liye paise nahi tha , mein socha mujhe naukri karni chahiye , suddenly maa ko
naurkri mil gayi , anaaaj phir se milne lag gayi , mein aaram karne lag gaya , maa bahar jati aur mein tv
mein madhosh, dost bulate the ki kaam pe ja rahe hain , par mein ghar mein arram farma raha tha ,
aakhirkar maa bhi chal basi tab ek din electrictiy bill, telephone bill , property tax ek saath a tapki , mein
hairan bhauchaka ab Kya Karoo , tai tai phis , duniya beraham aur maine kuch bhi nahi seekha , bank
gaya to account dekhna tak nahi aya , itna nikama ho gaya tha main ki apne paise paraye jaise lage ,
kaise n kaise ghar bikaya , log kehte hain aaj bhi ki itni sasti ghar kisi ne nahi dilayi , mujhe to bas paisa
chahiye tha kitna bhi ho aur mein usi mein khush , nasha itna tha ki rented house mein bhi tv chalti rahi
,mujhe hosh hi nahi tha ki aya hua paisa bhi khatm ho jata hain , aakhirkar paisa gaya aur main bhikari

Parineeti chopra : teri story mein to success hi nahi hain , bilkum nikamo jaise soch

Shahrukh khan : sorry or aapki story

Parineeti chopra : meri story to puch hi mat , amir gharane ki thi

Shahrukh khan : aur yeh ghar

Parineeti chopra : mere chach ki aur pati jail mein

Shahrukh khan : kaise

Parineeti chopra : gaav mein jua khelta tha , saara paisa gava diya , maine bahut baar tokne ki koshish ki
, fallen at bad times , lost wealth , respect , wanted to die , log usse bhi bure , marna tha, jail mein sad
raha hain paanch saal ki kaid

Shahrukh khan : puri story please

Parineeti choopra : meri story from starting

Shahrukh khan : is bahane meir bhookh bhi mit jayegi , kya karoo teen din se bhookha hoon

Parineeti chopra : oh !!!!


Scene 5

Parineeti chopra : kehte hain poor people are also lucky , meri shaadi aval number ke rayeez ghar mein
huyi , zamindaar ka ladka tha, pachas acre ki zameen thi , fasal jyada aur wo apne hi dhun mein mere se
shaadi ho gayi , aur kyon nahi hogi , main bilkum creamy white gori chitti aur meri sari sahilaye saawli to
shadi ho gayi , zamindari bujurg dekha karte the to mera pati dosto ke saath taash pati , pehle kuch din
maine nazar andaz kar diya par mujhe bhi kuch kuch samajh mein a raha tha ki pati ko taash pati se
nasha hain , thoda thoda karke bank account kum hoti chali gayi par zamindari thi to utna kuch pata nahi
chalta tha , jab bujurg father in law died tab mujhe abhas hua ki khaane ke liye paise kum hain , pati se
pucha to bolne lag gaye ki gehne girvi rakhne ko keh diya , main dang reh gayi ki pachas acre ka pati
gehne girvi , padna likhna ata tha to bank account dekha to puri account deficit ,tab pata chala ki father
in law died because he is pauper , pati chodna pada kyonki gaav wale pati se itne na khush the ki jail
bhej diya , ab mein yaha par aur pati jail ki salakhon par sad raha hain

Shahrukh khan : aur bache

parineeti chopra : mere saath

Shahrukh khan; : madam ji dhoop bhi aa chuki , agar anaaj nahi to kuch aur hi sahi

Parineeti chopra : andar ja kar dekhti hoon

Shahrukh khan : at last thankss, hope to day is a good day

Scene 6

Rekha : chukhat pe kya kar rahe ho itni dhoop mein

Shahrukh khan : kuch ghar se milega ki soch mein baitha hun madamji

Rekha : yah par to log kuch dete hi nahi , apna gujarna hi nahi aaya yaha par ,bhikari ko kuch dene chal
baithe , amazing

Shahrukh khan : yaha par koi nahi deta

Rekha : nahi , yaha par lete hain , dete kuch bhi nahi , tumne kaise soch liya

Shahrukh khan : aise hi , baat karte jaa raha hoon , par koi kuch de hi nahi raha
Rekha : meri baat maan kuch aur ghar doond , yaha par kuch bhi nahi dete kyonki yaha par dene ke liye
kuch bhi nahi hain sivaay batakhani ke siva

Shahrukh khan : aapki beti bahut kuch suna kar gayi , bahut dukhad avasta mein hain

Rekha : is ghar ki kahaniyan suni to sunte hi reh jaogi

Shahrukh khan : aapki bhi koi kahani hain , jab tak apki beti nahi aati kuch time pass

Rekha : doosro ke ghar mein time pass nahi zindagiyan chalti hain , life changing

Shahrukh khan : beshak , sunne ko main raazi

Rekha : main heroine thi apne zamane main , directors ke saath uthna , baithna, sex thodi bahut hoti thi
, kaam agar chahiye to thoda bahut second rate mein gana bajane wala club mein shamil hona bhi padta
tha , job hain , karne se paisa milta tha, aakhirkar aisa din aya ki log bulate gaye aur mere kapde chote
hote gaye , aisa din aya ki mujhe nikar mein gana karna pada, jab mein choti thi to kuch sharmindgi hoti
nahi thi , par jab badi hoti gayi to sharm ane lagi, heroes bhi meri duvidha samajhte the, par kya kare
unko bhi job karna padta hain , nahi to tumahari tarah bhukhmari ke shikar hona padega ke dar se kuch
bhi nahi karte aur jhelte hi rehte hain . Aakhirkar budi hogayi to job mil hi nahi raha tha , aakhirkar pata
chala ki jab tak mein bhikari na banu tab tak job doondne mein majboor kar diya , mera kya kasoor ,
main soch mein pad gayi to tab pata chala ki log har waqt paraye hote hain , aur as usual mere dushman
bhi wohi film industry thi , barbaad ke najdeek a gayi aur saat saal tak jab koi naukri nahi mili to mein a
pahuchi apne relative ke ghar thehrane

Shahrukh khan : aapke ghar mein stories hi stories hain , industry never bothers

Rekha : haan aur paisa bhi kum milta hain , aur agar jyada ki apeksha rakho to black money is available,
izzat ki roti aur bachna chaho to kum paisa lekar chod do yeh rasta

Shahrukh khan : saari industries ek saman madamji , kahi bhi naukri barkarar rakhna bekaar , suna tha
aapka naam kisi front page magazine mein , yaad nahi a raha

Rekha : 1990s ki heroine

Shahrukh khan : oh !!!!

Rekha : is field mein experience certificate bhi nahi milta aur milega bhi kyon , hum after gaining in
experience pata chalta hain ki gaav wale log humari nakal karke paisa humse jyada aith jate hain aur
unse compete karne ke liye hum bane hain , gaav is dangerous , jyada dosti achi nahi hain wo baat kaam
karte waqt pata chali , apna kaam karo aur nikalte bano, koi bhi apna nahi , dikhte ache hain aur pyaar
se baat to karte hain , par kiske dimag pe kya chal raha hain , kaun jane , phataphat paisa liya aur shaadi
kar li, middle class aur kya , yeh duniya hain aise hi chalti hain , paiso ka ghamand nahi hona chahiye aur
paise se door raho to sab apne aur ache , paisa jyada mil raha hain to sab paraye aur sab dushman

Shahrukh khan : aapki story bhi bukhmari hain even though aap heroine ho kar bhi
Rekha : they keep you illiterate , aur yeh industry ka usul hain , we bhi kuch nahi kar sakte kyonki village
based stories are plenty , india is village

Shah rukh khan : main chalta hoon , thank you , allah kabhi na kabh mere upar meharbaan hoga aaj

Rekha : haan

Scene 7

Paresh rawal : bhai do kilo aloo dena

Arshad warsi : pachas rupaye

Paresh rawal : bhai itna mehanga

Arshad warsi : summer time

Paresh rawal : har baar wohi price hoti hain tumhare paas

Arshad warsi : bhai khana khana hain to paisa dena padta hain

Paresh rawal : financial crisis mein beta or beti dono ki naukri kurbaan

Arshad warsi : wo kaise

Paresh rawal : akhbar nahi padte

Arshad warsi : subah se raat tak yehi dhanda hain , paisa

Paresh rawal : kismat wale ho jo vyapaar mein ruchi rakhte ho

Arshad warsi : apni batayiye

Paresh rawal : meri , to sun , is duniya mein agar jeena hain to vyapaar karna anivary ya kahoo majboori
hain , jo yeh vyapaar se mukh mod leta hain wo bhukhmari ka shikaar banta hain
Arshad warsi : aapki kahani , main to mast apne vyapaar mein

Paresh rawal : nalayak beta aur bigdi huyi beti , pehle zamane mein hum politician ka kaam karte the,
malum hi nahi tha ki bache is me shamil nahi honge karke , vetan barah se bees hazar haath mein ata
tha to beta aur beti husne lage ki bas itni si rakm , jab hum naukri karenge to minimum pachase hazar ki
humari vetan hogi , mein khush , bhai apne beta aur beti hain , wo sukhi to main sukhi , akhirkar pachas
hazar ki naukri karne lag gaye dono, jaise suna waise kiya , parunta durbhagya apni kismat , companies is
duniya mein bahut kum hain , or as usual , government ne no bol di ki jyada companies bahar se nahi
ayenge , kuch saal kaam kiya aur unko kya sujhi ki tikne ke bajaye aur apni experience or knowledge
badane ki koshish kiye bina , companies chodte hi gaye , puchne par bataya ki ubh chuke kaam karte
karte , yaha par naukri milti hi nahi aur barkhurdar dono ne tay kar liya ki company after company
badalte hi rahenge

Arshad warsi : to age kya hua

Paresh rawal : akhir kar samay pandrah saal ke baad yeh hua ki companies sab mein we naukri kar chuke
aur companies ne keh diya ki ek baar kaam se nikale gaye to wapas lenge hi nahi , dono mayus aur
vyapaar kar nahi sake , to maine kaha unse , ki jab vyapaar karne ka uddesh hi nahi hain to companies
mein tikne ke upay kyon nahi socha, nadan log aisi hi gustakhi karenge ab mein pachas rupay dene se
inkaar kar raha hoon kyonki mere ghar mein nalayak aulad ghar mein sust baithe hain aur mein retired

In totality bhukh se latpat family , samjhe ab bol kitne mein bechega aloo

Arshad warsi : pachas rupaye , usse kam nahi

Paresh rawal : story sunne ke baad bhi

Arshad warsi : haa wo aapki zindagi hain , meri nahin

Paresh rawal : oh!!! Pachas rupaye , aaj ki khariddari aur main apne ghar chala

Scene 8

Shahrukh khan : kuch chawal milega khane ke liye

Paresh rawal : theek khane ke samay kaun a pada bheekh mangne

Shahrukh khna : kuch chawal

Paresh rawal : kaam dhanda kyon nahi doond lete , hath pair to salamat hain
Shahrukh khan : padayi nahi ki , dusvi fail

Paresh rawal : bhikari ji yaha par sab anpad gavar hi kaam karte hain bharat desh mein , aap naye aye
hain kya

Shahrukh khan : suna hain ki aap reham dil ke aadmi hain , isliye puchne chala , bhookh lag rahi hain

Paresh rawal : haa purane zamane mein tha , kisne kaha

Shahrukh khan : sara mohallah se bhekh mang chuka, sabne aap ka naam lekar , kuch bhi nahi diya aaj

Paresh rawal : oh !!!!

Shahrukh khan : kuch milega

Paresh rawal : kuch kehna tha mere bare mein

Shahrukh khan : subah se kahani hi sun raha hoon logo ki jubaan se

Paresh rawal : to sun

Shahrukh khan : sunne ke baad chawal milegi

Paresh rawal : humare ghar ki riwaz hain jab vachan diya to milegi chawal aur daal

Shahrukh khan : theek hain , thanks , shuru ho jayiye

Paresh rawal : mein BJP ka politician hua karta tha , bees hazar ki naukri , par tumhe to malum hona
chahiye ki politicians earn outside also through consultation , to maine bhi kamana seekh liya aur wo bhi
white money not black aur mere sare parivar wale khush , bhai white money mein paise mil rahe hain
aajkal dhandha black ka hain , us zamane mein white money mil jati thi, meri takdeer aur bhi khulne wali
thi , cricket was in peak form aur door door se cricketers ka ana jana rehta tha , ek baar mauka mila ,
mere dost ne kaha jo politician tha ki cricket mein agar paisa rakho to arab pati banne ke chances hain
to maine unke isharo par paisa jama kiya aur bina biwi ko bataye rakh di paisa , ab kya hua

Shahrukh khan : kya hua

Paresh rawal : hona kya tha , main malamal ban gaya , aur dus saal ke andar crorepati , par ek bhool ki
maine , nasha chad gaya cricket, as you know ours is a cricket pasion nation ,so aage khelne ke liye aur
paisa batorne ki dhun mein foreign soil mein bhi paisa dalna seekh liya , ab jhatka laga , foreign mein
paise you chale gaye , tab dimag lagane par pata chala ki cricket bharat desh mein khela jata hain videsh
mein nahi

Shahrukh khan : oh !!!! Sorry


Paresh rawal : agar pata chalta to mein institutional tie ups hi kar leta tha , bhookh gayab because of tie
up with hotel industry aur ghar bhi surakshit with investment of money in resorts etc. Jab paisa aata
hain to investment karna chahiye aur wo bhi apne upar vikas na ki doosro ke vikas par nahi nuksaan
hota hain, yeh baat jab pata chali to paisa kum tha , investment kar hi nahi saka , politics se bahar aya to
middle class , paisa aya aur chala gaya aur maine nirvesh investment ki hi nahi kisi ke upar ,na apne upar
pension plan na bacho par , ab common man with do bache nalayak

Shahrukh khan : oh !!! Khana ab milega

Paresh rawal : jaroor , abhi lekar aya

Shahrukh khan : atlast khana mila

Scene 9

Paresh rawal : kitne dino se bhookha hain , ki ek hi din mein itna kha le raha hain

Shahrukh khan ; aap jaise dayawan milte kaha hain aajkal , subah gaya tha ghar mila par logo ne iti story
sunayi, to sun li , par baad mein pata chala ki koi khana deta hi nahi, apni majbooriyan suna kar chale
gaye

Paresh rawal : doosre par nirbhar hoga to aise hi bhookh , pyas se ojhal hona padega, sab swarthi hain ,
aajkal meaning of brahmin koi sunne ko raaji hi nahi , ulta un par haste hain , upanishads mein kahe
anursar chalo to paisa kya langoti khareedne ke liye bhi paise nahi dete , ethical hona padta hain , nahi
to duniya chalti bhi nahi , aur hum politicians chalane bhi nahi denge unethical logo ko , kyon puch

Shahrukh khan : kyon

Paresh rawal : paisa

Shahrukh khan : paisa

Paresh rawal : haa paisa , amazed , yeh duniya paiso ke balbute par chalti hain , yaha par log isi tak mein
rehte hain ki logo ko kitna paisa mila aur kyon , agar galat raste par paisa mil raha hain , to log ninda nahi
karte, balki amal kar dete hain , aisa hua to logo ke paas kuch decades ke baad hatash hokar khudkhushi
karni padti hain , bolo kyon

Shahrukh khan : kyon

Paresh rawal : wah isliye , tu nalayak hain , paisa chahiye , par doosra to nahi hain na , wo awsarvadi
gandhi principles par chalne wala , humla bol dega, duniya ek se nahi chalti , log shamil hote hain jaha
par paisa milta hain , samjhe
Shahrukh khan : samjhe

Paresh rawal : izzat ki roti se paisa kaise kamana hain agar tune duniya ko bata diya hota aur bhikari nahi
banta to tere age bheed jama ho jati aur tu ameer jada, tu sochta hain ki paisa kabhi mil hi nahi sakta
bhikari ko , par agar gaur kare to dene ke liye itne log hain paisa kaise kamani chahiye to tu kabhi bhikari
hi nahi banta , aur usse badi baat tere ko banne bhi nahi denge agar pata chala ki tu izzat se white
money kama raha hain to , black money ki prashmsa jo karta hain use late milti hain , wo such hain ,
puch kyon

Shahrukh khan : kyon

Paresh rawal : kyonki pustako ki bhasha hain yeh duniya , koi nuksaan kar de pustako ko to log aa
pahuch jate hain puchtaash ke liye aur report bana dete hain uspar , agarr report bani to log padte hain ,
mohallah mohallah gunj uththa hain issue par , aur supreme court tak baat fail jati hain , assembly mein
vad vivaad hoti hain aur constitution mein dakhla di jati hain har ek issue pertaining to society so

Shahrukh khan : be ethical, talk ethical , walk ethical , say ethical for being alive in society for society
wouldn’t accept false knowledge for they have to earn money for their children to be safe

Paresh rawal : bahut khoob , ab mein tumhe ek pata deta hoon , samajhdar dikhte ho , naukri doond
lena , acha alvida

Shahrukh khan : alvida , thanks for the food

Paresh rawal : phir chale ana kisi din, yeh hain pata mera saga hain , naam mera bata dena mil jayegi
naukri

Shahrukh khan : thankyou

Paresh rawal : aisi liwaaz mein jaoge , sahi dang ke kapde pehan ke jana ,log bhikhariyon ko naukri mein
nahi rakhte, samjhe

Shahrukh khan : haan , thanks

Paresh rawal : thanks tab kehna jab naukri milegi , mein phone mein keh deta hoon ki tum aa rahe ho,
bye

Shahrukh khan : bye


Scene 10

Shahrukh khan : aapne farmaya

Govinda : ayiye , hum aap hi ka intezar kar rahe the , kuch lenge

Shahrukh khan: nahi

Aishwarya rai : kha lijiye , zindagi mein khane ka mauka ek baar ata hain , log sochte hain , kal mein zinda
hun aur baad mein guzar jate hain , yam dut ake uthata hain , to tab samajh mein ata hain , kaash meine
wo kaam kiya hota marne se pehle, ya yeh chaka hota to santrupti militi , khane ko kabhi bhi inkaar nahi
karte , kya pata kis khane par aap ki takdeer khul jaye

Shahrukh khan : oh !!!!

Govinda : tatparya yeh hain , ki agar aap khane ke shaukeen hain to hume yeh gyaat hota hain ki aap job
chodna pasand nahi karte, agar khane ke shaukeen hain to aap kabhi bhi galat rasta nahi chunege aur
ethical being ke naam se jane jayenge

Aishwarya rai : khana is the basis to determine wealth, khana kha sakte hain aur diabetic patient aap
nahi hain to humari company taraki ke shikhar par hogi aur har ek employee malamaal

Govinda : maine aapko bataya nahi , aishwarya rai , my wife

Shahrukh khan : nice to meet you madam

Aishwarya rai : hume gyat hain ki aap bhikari ke rup mein prastuth huye the aaj dhar dhar bhat rahe the

Shahrukh khan : haa madam ji , dusvi kaksha ka candidate

Govinda : is duniya mein naukri education se nahi milti , bhookh mitane se milti hain , usme aap fail

Aishwarya rai : kaam wohi kar sakta hain is duniya mein jo chain se apne ko dekh kar aur family ke bare
mein soch kar khana apni family ko naseeb hain ya nahi , isi par hum amal karte hain aur isi par company
policy is designed , hume faltoo , bakwas sandesh sunna pasand nahi hain aur hum unhi ko lete hain
who are responsible for their family welfare of taking care of food

Govinda : aur aapko jaan kar hairangi hogi , ki company policy mein hum apne employees ko har hafte
kuch paise gavane ko kehte hain taki company policy of food which is basis of living ka gyaat employees
ke bheje mein ja kar baith sake taki honhaar aur prayojik employee company prefers

Shahrukh khan : oh !!!!


Aiswhwarya rai : isliye khan khayiye humare saath , hum kuch dekhna chahte hain

Shahrukh khan : madamji dusvi failed

Aishwarya rai : hume gyaat hain , par hum dekhna chahte hain ki middle class family ke haav bhaav abhi
bhi hain ya bhukhmari ke karan itne saal khushi ki raunak aur haav bhaav ud gaye ya nahi

Shahrukh khan : oh !!!! Beshak

Govinda : theek hain ek ghante baad ayiye khana khane ke baad , amne saamne baat hogi , thankyou for
coming

Shahrukh khan : kis room pe hain khana

Aishwarya rai : room number 20 on the third floor

Shahrukh khan : thankyou

Both aishwarya rai and govinda ek saath : most pleasurable

Scene 11

Shahrukh khan : hi , my name is shahrukh khan

Jimmy shergill : me , jimmy shergill

Shahrukh khan : aap company ke employee hain

Jimmy shergill : haa

Sushmita sen : main sushmita sen

Naseruddin shah : main nasaruddin shah

Madhuri dixit : mein madhuri dixit

Akshay kumar : mein akshay kumar

We are few employees who work for govinda sir


Shahrukh khan : main interview ke liye aya hun

Jimmy shergill : interview pass

Shahrukh khan : nahi, pehle khane ko kaha , phir interview

Akshay kumar : oh!!! To aap aise hi khane ke liye a gaye sir ne bheja to

Shahrukh khan : haan , any problem

Sushmita sen : problem to nahi , lagta hain timing dekhkar bheja gaya hoga

Shahrukh khan : meaning

Nasaruddin shah : barkhurdar , yaha par waqt ko dekhkar kaam kiya jata hain , kaam pura hone ke liye
waqt ko dekha karte hain , yaha par waqt ko dekhkar compay policy decide karte hain , yani dekhne par
waqt bahut kam milta hain , par jo honhar aur chatur wo is waqt ko apna maankar kum samay mein
kaam karke ghar nikal jata hain , yaha par akalmand ko kaam saumpa jata hain , aur bewkoof log waqt
ko dekhte hi nahi , yaha par maine pure bees saal lagaye hain , aur maharathi log jo bewkoof nikle
humare saath kaam hi nahi karte , management ka asool hain ki kum waqt mein jyada kaam jo kar
sakega usi ko naukri mein rakha jayega, samjhe intelligence

Shahrukh khan : vistaar se batayiye

Akshay kumar : jo mehanati hain wo jyada waqt lega aur management use barkhaast, jo kum samay
mein jyada output dega use management mein promotions , iske tatparya yeh hain ki hume bewkoof log
chahiye hi nahi aur jo akalmand hain wo jyada waqt lene se katra jate hain , jo kum waqt par jyada taraki
kare wo management terms it intelligence and jo jyada waqt lekar kum paisa managment ko deta hain
wo barkhaast , that is company policy

Shahrukh khan : oh!!!! Aapko aalsi log chahiye hi nahi

Sushmita sen : correct, company allots 9 to 5 job usse upar kaam nahi karna , pucho kyon

Shahrukh khan : kyon

Sushmita sen : jo hoshiyar hain wo aath ghante mein kaam kar lete hain , jo nalayak log hote hain unke
liye additional number of hours chahiye hota hain , government allots for them additional bonus for
additional work par hamari management kabhi bhi paisa deti hi nahi additional bonus kyonki unhe
intelligent log pasand hain na ki time pass employees , kaam aath ghante ka , tike to salary nahi to
doondo koi aur company , par company ko bhi malum hain ki intelligent employees kum hain , isliye
bhejne se pehle company ties up with other companies aur send them off within 3 months out of
company , employee jo nakamyaab hua bhi khush , aur company bhi khush
Shahrukh khan : wow !!! To nikale jaye to bhi job doosre company mein paka

Jimmy shergill : haa pakka, isliye kaam yaha par karna majedar

Shahrukh khan : outside 5 pm freelance job

Jimmy shergill : company ka usul hain ki 9 to 5 job are sensible and smart people to do work with ,
abnormal log agar kaam par chahiye to freelance ko lena swabhavik hain to do out of box thinking ,

Shahrukh khan : wo job company employees ko nahi deti

Jimmy shergill : nahi , kyonki yaha par intelligence is watched out for how smartly you can complete the
assignment with minimum effort with maximum bonus within time frame

Shahrukh khan : oh!!! Freelance

Madhuri dixit : aji aap ka bartaav dekhkar aap tikne walo se nahi hain ,muft mein khane ki baat aap
bahut kuch karte hain , aapko maulum hona chahiye ki muft ki roti naseeb to hoti hain par experience
gain nahi kar sakte , company ki doosri policy hain ki jo akalmand hota hain wo apne ko kabhi anpad
gavar nahi kehlata , company always pushes employees to earn in crores and retire early

Shahrukh khan : crores kaise

Madhuri dixit : yaha par sab pade likhe log , sab post graduates ko liya jata hain na ki kanjoos company
ho to graduates , company has knowledge that one day we would do phd , aur phd ka mauka only post
graduates ke paas hota hain , to company kaam saump deti hain , aisa kaam jisse phd karne ka mauka ,
agar kaamyab agar employee hua to phd through crorepati and company by promoting post graduate
earn income through employee , samjhe

Shahrukh khan : samjhe

Thank you friends , khan khaa liya , boss se milne chala

Sab ek saath : best wishes for interview

Shahrukh khan : thanks ,you too for your jobs

Scene 12

Govinda : khaa liya

Shahrukh khan : haa sir , khana lazeez tha aur aapke employees excellently intelligent

Aishwarya rai : aap english achi tarah se bol lete hain , we are proud
Shahrukh khan ; thankyou

Govinda : kya seekha aapne employees se , vistaar se batayiye

Shahrukh khan : duniya ek se nahi chalti , aneko logo ka kaam hota hain , koi bhi desh ya employee akele
jee hi nahi sakta aajkal ke environment mein , akhbar bhi pad li, europe cant exist without russia , russia
cant exist without usa , usa cant exist withouth china , china cant exist without india , india cant exist
without brazil , every one is dependent , ek ko maar gira doge to dusra gets affected , nobody can rule
earth

Aishwarya rai :excellent aage

Shahrukh khan : aaj jitne bhi stories sune , unme kamaal ka knowledge mila , yeh ki ek ko khana khane
ke liye , dusre ki madad karni padti hain , taki khushhali se kaam kar sake , agar tevar dikhane lag gaye to
khana naseeb hi nahi ho sakta , mere ko jisne bhi khana dilaya who maha gyani the , shuruvat mein pata
nahi chala ki subah mein jo log mile the wo bahut matlabi the, jaante the ki apna pet bharo to mushkile
aassan sa ban jati hain , doosro ki seva karo to apne aapko nahi dekh sakte as they have limited portion
of wealth to share

Govinda : aur afternoon

Shahrukh khan : dopahar se meri kismat chamki , khana mila , mila bhi to aur ek updesh , doosro ka
bhala karo to apni pareshani bhi kum ho jati hain , kum paisa phir bhi logo ka mel jol , kyon is duniya
mein aye yeh soch agar kisi ne socha to yehi samajh main ani chahiye , ki koi bhi log bade ya chote nahi
hote , nobody is black or white by face when their hearts are pure , duniya par hukumat wohi kar sakta
hain jo neki ke raste par chalta hain , chillane se koi kuch bhi nahi milta , dost badane chahiye duniya
mein jeene ke liye , domination and making nations slave because of history would only make next
generation suffer the same fate

Aishwarya rai : isliye duniya mein achayi honi chahiye taki logo ka vishwaas kayam rahe , chrisitianity
believes in world domination of christianity across the world be it by hook or crook else set up through
education , they passed but seeded in the minds of people war

Govinda : aajkal ke jamane mein war has no meaning , sabke paas nuclear weapons hain aur kabhi bhi
biological warfare se kisi ko bhi parast kar sakte hain , duniya mein upari jo nirnay karne ki shamta
rakhte hain wo badtameezi na kare aur sayam se negotiations mein yakeen rakhe to duniya age bad
sakti hain , hum bhi is bhoomi ke niwasi hain aur hume gyaat hona chahiye ki humari choti si choti kiran
logo ko marg darshan dekar unnati karni chahiye na ki galat updesh de kar doosro ko neecha dikhaoge
to log government ko dikha denge jaise ki arab spring hua tha

Shahrukh khan : companies bhi aap hi ki tarah sochna chahiye sir

Aishwarya rai : humare bharat desh mein sab aisa hi sochte hain , isliye hum paramarsh kar sakte hain
aur employees welfare scheme rakhne mein kamyaab huye
Shahrukh khan : ab age

Govinda : aage , adhe ghante mein interview hain , hum chalte hain , best wishes

Shahrukh khan : kis post ke liye

Aishwarya rai : bhai , dusvi fail ho to naukri usi ke hisab se documentation

Govinda : ghabrane ki koi baat nahi , luckily you did ventureship of typing higher to naukri paki hi samjho

Shahrukh khan : thankyou

Dono ek saath : bye

Scene 13

Interview panel aarambh

Anil kapoor : good evening

Shahrukh khan : good evening

Anil kapoor : shrimanji , har ek interview ka koi na koi uddesh hota hain , is interview mein aapki soch
parkhi jayegi ki aap hamare company mein kaam karne ke layak hain ya patang ki dor kat jane ka bhay
hain

Shahrukh khan : interview shuru

Vidya balan : shuru

Bomman irani : pehla question interview ka maksad kya hain , hum kya bewkoof hain

Shahrukh khan : nahi sir

Bomman irani : to aap batayiye , interview kyon li jati hain

Shahrukh khan : intelligence parakhne ke liye , ki main aap logo ki tarah baat kar sakta hun ya nahi,
Bomman irani : aage

Shahrukh khan : company ka mahatv yeh hain ki society mein ek izzat hoti hain jo company ke
employeees follow karte hain , agar parakh kuch bhi dheemi padi to company has to wind up , isliye
parakhna avashyak hain , without which , bahar se aye huye students ya main samajh nahi sakte ki hume
akhir kar liya kyon ja raha hain

Bomman irani : well done

Priyanka chopra : students khud aaye bahar se pata lagane ke liye ki job mil sakti hain ya nahi ya
company khud chal kar unhe bulana padta hain , aapki ray

Shahrukh khan : aaj hi pata chala ki agar networking ho to company can pick up anybody , parantu jab
khud chal kar apply kare to musibat aan pad sakti hain

Priyanka chopra : jaise

Shahrukh khan : availability of vacancy

Priyanka chopra : humara tareeka is prakar hain , jo aap ko jaan leni chahiye ki hum upari vibhag par
concentrate karte hain kyonki intelligence flows top to bottom

Shahrukh khan : oh !!!!

Priyanka chopra : to upari agar aap select nahi ho sake to one step after one step parakhna humara
kaam hain , jab tak ki aap ko apni kabliyat par confidence aye to hum wo post dene mein katrate nahi
hain ,

Shahrukh khan : samajh gaya

Anil kapoor : doosra question , ek insaan ke liye job kyon honi chahiye

Shahrukh khan : khaane ke liye , khana milta hain , job ki wajah se

Anil kapoor : barkhurdar , society family se chalti hain , aur family responsibility ka dayatv sambhalne ke
liye job ki jati hain , agar bachelorship rahoge to kabhi na kabhi , job chod doge , hum aise bando ko
naukri mein nahi rakhte jo laparvah ho , hum unhi ko nimantran dete hain jo marriage mein ruchi rakhte
hain , samjhe

Shahrukh khan : sorry , samajh gaya , marriage, maine ki hi nahi

Vidya balan : teesra question company society ke liye kyon honi chahiye

Shahrukh khan : taki family pad likh sake

Vidya balan : aage


Shahrukh khan : to get jobs in the market

Vidya balan : aur company ka asli dayatv kya hain aur kya honi chahiye

Shahrukh khan : astitva and ethical procedure

Vidya balan : hum company isliye chalate hain taki companies humare saath kaam kar sake aur society
continues , agar ek ke baad ek company haath se chali gayi to waise bhi aakal aa sakta hain aur family
bikhar sakti hain , doosre companies cant enroll all students , isliye har ek company ka dayatv hain ki
kuch na kuch le aur kuch na kuch society ko de

Shahrukh khan : oh!!!! Existentialism

Vidya balan : right

Kangana ranaut : chautha prashn , company ki policy decision making kaisi honi chahiye aapke anuman
se

Shahrukh khan : faltu bakwas cheezo mein na ghuse to behtar

Kangana ranaut : beshak , aur aage

Shahrukh khan : decision are cruicial , problems are many to aise mein jo paanch minute mein sawal aur
jawab de sake use company ki policy sambhalni chahiye

Kangana ranaut : aap mein wo kabliyat hain

Shahrukh khan : beshak

Kangana ranaut : humari company mein sabse bewkoof insaan kaun hain , you have 5 minutes to answer

Shahrukh khan : interviewing

Kangana ranaut : aap hamari beyjati kar rahe hain , we are pillars of company not to enter fools

Shahrukh khan : aaapki company ki policy bhi yahi hain ki kisi ko bhi bulao , pasand nahi aya to teen
mahine ke baad bahar

Kangana ranaut : haaan correct

Shahrukh khan : iska matlab yahi hua ki , performance in job is better than answering your questions

Kangana ranaut : you are in

Shahrukh khan : thank you

Abhishek bachan : aapne to employees dekh liya hoga ,


Shahrukh khan : haan

Abhishek bachan : un par rai

Shahrukh khan : kaam har waqt apna karne mein samajhdari

Abhishek bachan : wo kyon

Shahrukh khan : jab apni taraki hogi to job mein tik sakte hain , jab doosro ke ilake mein ghusna shuru
kare to apni taraki ruk jati hain

Abhishek bachan : to usse kya hota hain

Shahrukh khan : jo hume dekh kar chal rahe the , tham jati hain society , aur hum par lanchan shuru ho
jati hain ,ki kaam karne ka tareeka doond rahe the , milna tha mili nahi , bekar logo ke ird gird society
ghoomti bhi nahi , aur agar apna kaam theek se karne lage to jaroor taraki hokar doosre bhi khush ,
khud mein paisa ane ka chance aur

Abhishek bachan : aur jo doosro ke ilake mein ja kar tandav nrutya karte hain wo na kaam kar sakte hain
na doosro ko dekh kar kaam karne ke abhilashi ban sakte hain , company ka policy hain jo apna kaam
kare wo doosro ko bata sakte hain ki kaise kiya jata hain

Anil kapoor : aur jo apni taraki kar sake , doosre follow ho jate hain aur family bhi barkarar hoti hain

Rani mukherjee : Company ka policy hain ki hum companies ko badava dete hain aur companies jitni
jyada adhik society mein kaam kare , hum unka jaroor protsahan dete hain

Shahrukh khan : kyon

Rani mukherjee : kyonki , entrepreneurship is engine of the state , so thankyou for the interview

Shahrukh khan age chal kar naukri to paa nahi saka parantu company se jo seekh us din usko mili ek
paan ki dukan saja kar entrepreneurship karne baith gaya

Shaadi huyi, do bacho ka baap bana parantu abhi bhi company ke shares bechne mein mahir bhi hain
aur jante ho kiske shares

Govinda and aishwarya rai company shares bade garv se

END OF FILM BHOOKH

You might also like