You are on page 1of 1

sun to sahī jahāñ meñ hai terā fasāna kyā

kahtī hai tujh ko ḳhalq-e-ḳhudā ġhā.ebāna kyā


kyā kyā ulajhtā hai tirī zulfoñ ke taar se
baḳhiya-talab hai sīna-e-sad-chāk shāna kyā
zer-e-zamīñ se aatā hai jo gul so zar-ba-kaf
qārūñ ne rāste meñ luTāyā ḳhazāna kyā
uḌtā hai shauq-e-rāhat-e-manzil se asp-e-umr
mahmez kahte haiñge kise tāziyāna kyā
ziina sabā kā DhūñDtī hai apnī musht-e-ḳhāk
bām-e-buland yaar kā hai āstāna kyā
chāroñ taraf se sūrat-e-jānāñ ho jalva-gar
dil saaf ho tirā to hai ā.īna-ḳhāna kyā
sayyād asīr-e-dām-e-rag-e-gul hai andalīb
dikhlā rahā hai chhup ke use dām-o-dāna kyā
tabl-o-alam hī paas hai apne na mulk o maal
ham se ḳhilāf ho ke karegā zamāna kyā
aatī hai kis tarah se mire qabz-e-rūh ko
dekhūñ to maut DhūñD rahī hai bahāna kyā
hotā hai zard sun ke jo nāmard mudda.ī
rustam kī dāstāñ hai hamārā fasāna kyā
tirchhī nigah se tā.ir-e-dil ho chukā shikār
jab tiir kaj paḌe to uḌegā nishāna kyā
sayyād-e-gul-ezār dikhātā hai sair-e-bāġh
bulbul qafas meñ yaad kare āshiyāna kyā
betāb hai kamāl hamārā dil-e-hazīñ
mehmāñ sarā-e-jism kā hogā ravāna kyā
yuuñ mudda.ī hasad se na de daad to na de
'ātish' ġhazal ye tū ne kahī āshiqāna kyā

You might also like