You are on page 1of 1

bār-hā gor-e-dil jhañkā laayā

ab ke shart-e-vafā bajā laayā


qadr rakhtī na thī matā-e-dil
saare aalam meñ maiñ dikhā laayā
dil ki yak qatra ḳhuuñ nahīñ hai besh
ek aalam ke sar balā laayā
sab pe jis baar ne girānī kī
us ko ye nā-tavāñ uThā laayā
dil mujhe us galī meñ le jā kar
aur bhī ḳhaak meñ milā laayā
ibtidā hī meñ mar ga.e sab yaar
ishq kī kaun intihā laayā
ab to jaate haiñ but-kade se 'mīr'
phir mileñge agar ḳhudā laayā
(Mir Taqi Mir)
ab to ḳhushī kā ġham hai na ġham kī ḳhushī mujhe
be-his banā chukī hai bahut zindagī mujhe
vo vaqt bhī ḳhudā na dikhā.e kabhī mujhe
un kī nadāmatoñ pe ho sharmindagī mujhe
rone pe apne un ko bhī afsurda dekh kar
yuuñ ban rahā huuñ jaise ab aa.ī hañsī mujhe
yuuñ dījiye fareb-e-mohabbat ki umr bhar
maiñ zindagī ko yaad karūñ zindagī mujhe
rakhnā hai tishna-kām to saaqī bas ik nazar
sairāb kar na de mirī tishna-labī mujhe
paayā hai sab ne dil magar is dil ke bāvajūd
ik shai milī hai dil meñ khaTaktī huī mujhe
raazī hoñ yā ḳhafā hoñ vo jo kuchh bhī hoñ 'shakīl'
har haal meñ qubūl hai un kī ḳhushī mujhe
(Shakil Badauni)
sun to sahī jahāñ meñ hai terā fasāna kyā
kahtī hai tujh ko ḳhalq-e-ḳhudā ġhā.ebāna kyā
kyā kyā ulajhtā hai tirī zulfoñ ke taar se
baḳhiya-talab hai sīna-e-sad-chāk shāna kyā
zer-e-zamīñ se aatā hai jo gul so zar-ba-kaf
qārūñ ne rāste meñ luTāyā ḳhazāna kyā
uḌtā hai shauq-e-rāhat-e-manzil se asp-e-umr
mahmez kahte haiñge kise tāziyāna kyā
ziina sabā kā DhūñDtī hai apnī musht-e-ḳhāk
bām-e-buland yaar kā hai āstāna kyā
chāroñ taraf se sūrat-e-jānāñ ho jalva-gar
dil saaf ho tirā to hai ā.īna-ḳhāna kyā
sayyād asīr-e-dām-e-rag-e-gul hai andalīb
dikhlā rahā hai chhup ke use dām-o-dāna kyā
tabl-o-alam hī paas hai apne na mulk o maal
ham se ḳhilāf ho ke karegā zamāna kyā
aatī hai kis tarah se mire qabz-e-rūh ko
dekhūñ to maut DhūñD rahī hai bahāna kyā
hotā hai zard sun ke jo nāmard mudda.ī
rustam kī dāstāñ hai hamārā fasāna kyā
tirchhī nigah se tā.ir-e-dil ho chukā shikār
jab tiir kaj paḌe to uḌegā nishāna kyā
sayyād-e-gul-ezār dikhātā hai sair-e-bāġh
bulbul qafas meñ yaad kare āshiyāna kyā
betāb hai kamāl hamārā dil-e-hazīñ
mehmāñ sarā-e-jism kā hogā ravāna kyā
yuuñ mudda.ī hasad se na de daad to na de
'ātish' ġhazal ye tū ne kahī āshiqāna kyā
(Haider Ali Aatish)

You might also like