You are on page 1of 1

sharah-e-bedardi-e-halat na hone paa.

ab ke bhi dil ki mudarat na hone paa.i

phir vahi va.ada jo iqrar na ban�e paaya

phir vahi baat jo isbat na hone paa.i

phir vo parvane jinhe� izn-e-shahadat na mila

phir vo sham.e� ki jinhe� raat na hone paa.i

phir vahi ja�-ba-labi lazzat-e-mai se pahle

phir vo mahfil jo ?harabat na hone paa.i

phir dam-e-did rahe chashm o nazar did-talab

phir shab-e-vasl mulaqat na hone paa.i

phir vaha� bab-e-asar janiye kab band hua

phir yaha� ?hatm munajat na hone paa.i

'faiz' sar par jo har ik roz qayamat guzri

ek bhi roz mukafat na hone paa.i


--------------------------------

sharh-e-firaq mad.h-e-lab-e-mushkbu kare�

ghurbat-kade me� kis se tiri guftugu kare�

yaar ashna nahi� koi Takra.e� kis se jaam

kis dil-ruba ke naam pe ?hali subu kare�

siine pe haath hai na nazar ko talash-e-bam

dil saath de to aaj gham-e-arzu kare�

kab tak sunegi raat kaha� tak suna.e� ham

shikve-gile sab aaj tire ru-ba-ru kare�

hamdam hadis-e-ku-e-malamat suna.iyo

dil ko lahu kare� ya gareba� rafu kare�

ashufta-sar hai� muhtasibo mu�h na aa.iyo

sar bech de� to fikr-e-dil-o-ja� adu kare�

''tar-damani pe shai?h hamari na ja.iyo

daman nicho? de� to farishte vuzu kare�''

You might also like