You are on page 1of 2

''aap ki yaad aati rahi raat bhar''

cha�dni dil dukhati rahi raat bhar

gaah jalti hui gaah bujhti hui

sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar

koi ?hushbu badalti rahi pairahan

koi tasvir gaati rahi raat bhar

phir saba saya-e-sha?h-e-gul ke tale

koi qissa sunati rahi raat bhar

jo na aaya use koi zanjir-e-dar

har sada par bulati rahi raat bhar

ek ummid se dil bahalta raha

ik tamanna satati rahi raat bhar


-----------------------------
baat bas se nikal chali hai

dil ki halat sambhal chali hai

ab junu� had se ba?h chala hai

ab tabi.at bahal chali hai

ashk ?hunab ho chale hai�

gham ki ra�gat badal chali hai

ya yu�hi bujh rahi hai� sham.e�

ya shab-e-hijr Tal chali hai

laakh paigham ho ga.e hai�

jab saba ek pal chali hai

jaao ab so raho sitaro

dard ki raat Dhal chali hai


-----
dil me� ab yuu� tire bhule hue gham aate hai�

jaise bichh?e hue kaabe me� sanam aate hai�

ek ik kar ke hue jaate hai� taare raushan

meri manzil ki taraf tere qadam aate hai�

raqs-e-mai tez karo saaz ki lai tez karo

su-e-mai-?hana safiran-e-haram aate hai�


kuchh hami� ko nahi� ehsan uThane ka dimagh

vo to jab aate hai� ma.il-ba-karam aate hai�

aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho

dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hai�

You might also like